PIR NASEER UD DIN NASEER – Naat
نعت کا اردو متن (Urdu Lyrics)
میری زندگی کا تجھ سے یہ نظام چل رہا ہے
ترا آستاں سلامت مرا کام چل رہا ہے
نہیں عرش و فرش پر ہی تری عظمتوں کے چرچے
تہ خاک بھی لحد میں ترا نام چل رہا ہے
وہ تری عطا کے تیور، وہ ہجوم گرِد کوثر
کہیں شورِ مَے کشاں ہے کہیں جام چل رہا ہے
کسی وقت یا محمد کی صدا کو میں نہ بھُولا
دم نزع بھی زباں پر یہ کلام چل رہا ہے
مرے ہاتھ آگئی ہے یہ کلید قُفلِ مقصد
ترا نام لے رہا ہوں مرا کام چل رہا ہے
کوئی یاد آ رہا ہے مرے دل کو آج شاید
جو یہ سیل اشکِ حسرت سرِ شام چل رہا ہے
وہ برابری کا تُو نے دیا درس آدمی کو
کہ غلام ناقَہ پر ہے تو امام چل رہا ہے
یہ اثر ہے تیری سنت کے مذاق سادگی کا
رہ خاص چلنے والا رہ عام چل رہا ہے
ترے لطف خسروی پر مرا کٹ رہا ہے جیون
میرے دن گزر رہے ہیں میرا کام چل رہا ہے
مجھے اس قدر جہاں میں نہ قبول عام ملتا
ترے نام کے سہارے مرا نام چل رہا ہے
تری مہر کیا لگی کہ کوئی ہنر نہ ہوتے
مری شاعری کا سکہ سرِ عام چل رہا ہے
یہ تری دعا کہ ہے کچھ اھی ہم میں وضع داری
یہ تری نظر کہ آپس میں سلام چل رہا ہے
میں ترے نثار آقا ! یہ حقیر پر نوازش
مجھے جانتی ہے دنیا مرا نام چل رہا ہے
ترا اُمتی بس اتنی ہی تمیز کاش کر لے
وہ حلا ل کھا رہا ہے کہ حرام چل رہا ہے
کڑی دھوپ کے سفر میں نہیں کچھ نصیر کو غم
ترے سایہ کرم میں یہ غلام چل رہا ہے
رومن اردو نقل (Roman Urdu Transliteration)
Meri zindagi ka tujh se yeh nizam chal raha hai
Tera aastaan salaamat mera kaam chal raha hai
Nahin Arsh-o-Farsh par hi teri azmaton ke charche
Teh-e-khaak bhi lahad mein tera naam chal raha hai
Woh teri ataa ke tewar, woh hujoom-e-gird-e-Kausar
Kahin shor-e-mai kashaan hai kahin jaam chal raha hai
Kisi waqt ‘Ya Muhammad’ ki sadaa ko mein na bhoola
Dam-e-naza’ bhi zabaan par yeh kalaam chal raha hai
Mere haath aa gayi hai yeh kaleed-e-qufl-e-maqsad
Tera naam le raha hoon, mera kaam chal raha hai
Koi yaad aa raha hai mere dil ko aaj shaayad
Jo yeh sail-e-ashk-e-hasrat sar-e-shaam chal raha hai
Woh baraabari ka tu ne diya dars aadmi ko
Ke ghulaam naaqah par hai toh Imam chal raha hai
Yeh asar hai teri sunnat ke mizaaj-e-saadgi ka
Reh-e-khaas chalne waala reh-e-aam chal raha hai
Tere lutf-e-Khusravi par mera kat raha hai jeewan
Mere din guzar rahe hain, mera kaam chal raha hai
Mujhe is qadar jahaan mein na qabool-e-aam milta
Tere naam ke sahaare mera naam chal raha hai
Teri muhr kya lagi ke koi hunar na hote
Meri shayari ka sikka sar-e-aam chal raha hai
Yeh teri duaa ke hai kuch abhi hum mein waza’-daari
Yeh teri nazar ke aapas mein salaam chal raha hai
Mein tere nisaar Aaqa! yeh haqeer par nawaazish
Mujhe jaanti hai duniya, mera naam chal raha hai
Tera ummati bas itni hi tameez kaash kar le
Woh halaalo kha raha hai ke haraam chal raha hai
Kadi dhoop ke safar mein nahin kuch Naseer ko gham
Tere saaya-e-karam mein yeh ghulaam chal raha hai
Subhanallah
MashaAllah maharoom PEER NASEER-UD-DIN-NASEER SHAB KI KALAM KA KIYA KHAYNA. MAI TO UN KI NAATO KA ASHIQ HOON
Jnb apny alfaz darust kijey maharoom nai hota merhoom hota hy
subhanALLAH kia bat hai.
Assalamoalaykum
Alhamdulillah
MashaAllah
JzakAllah
Allahu Akbar ❤️